sher hain chalte hain darrate hue
badalon ki tarah mandlate hue
zindagi ki ragni gaate hue
aaj jhanda hai hamare haath men
ham vo hain jo be-rukhi karte nahin
ham vo hain jo maut se darte nahin
ham vo hain jo mar ke bhi marte nahin
aaj jhanda hai hamare haath men
chain se mahlon men ham rahte nahin
aish ki ganga men ham bahte nahin
bhed dushman se kabhi kahte nahin
aaj jhanda hai hamare haath men
jante hain ek lashkar aaega
top dikhla kar hamen dhamkaega
par ye jhanda bhi yunhi lahraega
aaj jhanda hai hamare haath men
kab bhala dhamki se ghabrate hain ham
dil men jo hota hai kah jaate hain ham
asman hilta hai jab gaate hain ham
aaj jhanda hai hamare haath men
laakh lashkar aaen kab hilte hain ham
andhiyon men jang ki khilte hain ham
maut se hans kar gale milte hain ham
aaj jhanda hai hamare haath men
Leave a Reply