hama-tan jalva-fishan mah-o-charaghan ki tarah
kaun aaya dil-e-pur-shauq men mehman ki tarah
guunj uThi gham-kada-e-ruh men us ki avaz
ḳhvab men bahte hue chashma-e-irfan ki tarah
zehn-e-fankar men manind-e-shu.ur-e-naghma
safha-e-dil pe hai vo nazm ke unvan ki tarah
zau-fishan mere sanam-ḳhana-e-afkar men hai
lab-e-ma.asum koi la.al-e-badaḳhshan ki tarah
ahrman ban ke ta.aqub men rahi zulmat-e-shab
chhup gaya koi miri ruuh men yazdan ki tarah
barhana-pa-o-sarasima thi tauqir-e-bashar
vo mire saath raha azmat-e-insan ki tarah
mizha aluda-ba-ḳhun chashm-e-tamanna ḳhun-bar
sina-e-dahr men huun zaḳhm-e-numayan ki tarah
ai mire ham-dam-e-dil-gir dua de mujh ko
us ke qadmon pe rahun shaḳh-e-gul-afshan ki tarah
jal uThi sham-e-tamanna sar-e-mehrab-e-visal
kaun aata hai ye ḳhurshid-e-farozan ki tarah
Leave a Reply