hairat kitab-e-ishq ka paḌhna tamam shud
lekin hai us ke ba.ad to jiina tamam shud
hai lutf-e-harf-o-lazzat-e-tahrir pe nigah
mazmun ḳhat ka dekh hai rishta tamam shud
tha dil men ik ḳhayal na laa.e ba-ru-e-kar
hasrat tamam shud ki tamanna tamam shud
pyasi thi ruuh ishq men ilm-o-hunar ke yuun
dariya pe honT rakkhe to dariya tamam shud
dushvar hai luun saans mukaddar faza men ab
lagne laga ki ab ke tamasha tamam shud
ab sochte nahin ki ghalat kya hai kya durust
hujjat tamam shud ki aqida tamam shud
ab tere ba.ad ḳhatm hai saari shaguftagi
rote hain zaar zaar hai hansna tamam shud
jab bad-gumaniyan hon to baḌhti hain ranjishen
tab do dilon ke ishq ka qissa tamam shud
Leave a Reply