Ham-Nashin Raat Hai to Raat Bhi Dhal Jaegi

ham-nashīñ raat hai to raat bhī Dhal jā.egī

sub.h-dam sūrat-e-hālāt badal jā.egī

hiddat-e-shauq salāmat hai to zanjīr-e-jafā

sūrat-e-sham.a kisī roz pighal jā.egī

un kā dam bharte ho to ġham na karo āḳhir-kār

un pe dam dene kī hasrat bhī nikal jā.egī

ham-safīro kabhī miTtī hai tamannā-e-bahār

ye kisī phuul kisī sho.ale meñ Dhal jā.egī

yahī behtar hai ki qurbān-e-vafā ho jaa.e

jaañ agar aaj na jā.egī to kal jā.egī

kis ko ma.alūm thā malbūs-e-sabā meñ sarsar

aa ke gulshan meñ shagūfoñ ko masal jā.egī

ab ke sāvan bhī agar abr na barsā ‘aḳhtar’

jo kalī shāḳh pe niklegī vo jal jā.egī

Leave a Comment