halqa-e-sham-o-sahar se nahin jaane vaala
dard is dida-e-tar se nahin jaane vaala
pa-ba-zanjir nikalega safar ki tadbir
tantana farq-e-hunar se nahin jaane vaala
tishna-lab ko to mayassar nahin ik jur.a-e-ab
bul-havas luqma-e-tar se nahin jaane vaala
munqat’a karte hain bagh-o-shajar-va-shaḳh use
rabt mehnat ka samar se nahin jaane vaala
pur-kashish bhi hai sar-afrazi-e-duniya bhi magar
zahr ganjina-e-zar se nahin jaane vaala
tark-e-duniya ho ki duniya ki talab ho pyare
ye vo sauda hai jo sar se nahin jaane vaala
is pe ek aur ghazab abru-e-ḳhamdar bhi hai
bach ke is tegh-e-nazar se nahin jaane vaala
saari ḳhushbu simaT aa.i alif-e-qamat ki
gul-e-tar kaf-e-kamar se nahin jaane vaala
pairav-e-sher-e-ḳhuda huun asadullahi huun
ya-‘ali’ main tire dar se nahin jaane vaala
Leave a Reply