jab ta.aruf se be-niyaz tha main
koi zahid na ‘sarfaraz’ tha main
jab hua ashkar tab jaana
apne baare men koi raaz tha main
ab to sanson men bhi nahin tartib
pahle vaqton men nai-navaz tha main
ai miri intiha-e-barbadi
kis qadar mubtala-e-naz tha main
sab ko qudarat thi ḳhush-kalami par
ḳhamushi men zaban-daraz tha main
bhuul jaata hai ab duaon men
pahle jis ke liye namaz tha main
Leave a Reply