• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hain Waqt Ke Mahkum to Bahkenge Qadam Aur

Hain Waqt Ke Mahkum to Bahkenge Qadam Aur

hain vaqt ke mahkum to bahkenge qadam aur

badle hue halat men kho ja.enge ham aur

afsana-e-andoh men yaksan hai har ik shaḳhs

is daur-e-pur-ashob men tum aur na ham aur

le jaate hain but-ḳhane se dil apna jala kar

rakh lenge na.i sham.a sar-e-taq-e-haram aur

har shaḳhs tha ḳhamosh mire ba.ad azal men

puchha jo gaya hai koi sha.ista-e-gham aur

sanche men masarrat ke Dhala hai gham-e-ulfat

ai gardish-e-afaq mujhe de koi gham aur

avval to bichhaḌte hi chale jaate hain sathi

paḌta hai bura vaqt to ho jaate hain kam aur

halat muafiq nazar aate nahin ‘qaisar’

hain tarkash-e-ayyam men kuchh tir-e-sitam aur

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

jaun-eliya

Apna Khaka Lagta Hun

Raushni Ke Saz-O-Saman DhunDhta Phirta Tha Main

ahmad-adil

Main Bhi Kya Zabt Aazmata Hun

simTe to Aise Shams-O-Qamar Mein simaT Gae

Bojh Apna Sahaarte Hain Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet