dukh men lipTa hua sata.e badan
main pukara chalun ki haa.e badan
ye badan apne saath le jaa.e
aur apna vo chhoḌ jaa.e badan
pahle gundha gaya ḳhamir un ka
phir ḳhuda ne kahin bana.e badan
ruuh parvaz kar ga.i meri
aur kahti rahi ki haa.e badan
ik parinda kisi ki hijrat ka
noch kar le gaya qaba-e-badan
teri ulfat ki dastan ham ko
aa ke ik roz to suna.e badan
muskura.un main us ki halat par
meri halat pe muskura.e badan
Leave a Reply