Tere Hi Sath Mere Yar Hai Meri Duniya

tire hī saath mire yaar hai mirī duniyā

tire baġhair to be-kār hai mirī duniyā

nasha sharāb kā bilkul mujhe pasand nahīñ

surūr-e-ishq se sarshār hai mirī duniyā

dikhā.ī dete nahīñ un ko mere vīrāne

vo sochte haiñ ki gulzār hai mirī duniyā

maiñ nafrateñ meñ rahūñgā to mar hī jā.ūñgā

ye merī duniyā nahīñ pyaar hai mirī duniyā

tujhe bhī ilm hai ‘ulfat’ ki sirf din haiñ mire

har ek raat to bāzār hai mirī duniyā

Leave a Comment