hain sau tarah ke rang har ik naqsh-e-pa men dekh
insan ka husn aina-e-irtiqa men dekh
yuun hi nahin ye bartari-e-nasl-e-admi
guzre hain kaise hadse sai-e-baqa men dekh
sarf-e-nazar hain vaqt ki pinhaiyan tamam
duniya-e-na-rasa miri fikr-e-rasa men dekh
ye raushni to lau hai isi ik charagh ki
tazin-e-dahr zehn ki nash-o-numa men dekh
is karobar jan-o-jasad par nigah daal
hain kaisi kaisi ne.amaten ab-o-hava men dekh
yaan kitne log mar ke amar ho gae na puchh
kya suraten baqa ki hain rah-e-fana men dekh
sun to ḳhiram-e-vaqt men hain kaisi ahaTen
kya rang pur-fishan hain ghubar-e-hava men dekh
‘akbar’ hai ek mahshar-e-ilm-o-ḳhabar dimagh
shor-e-hayat ḳhana-e-bim-o-raja men dekh
Leave a Reply