jo bhi taḳht pe aa kar baiTha us ko yazdan maan liya
aap bahut hi dida-var the mausam ko pahchan liya
jab bhi thakan ne kaaT ke phenka dasht-gazida qadmon ko
jalti ret pe khaal bicha.i dhuup ka ḳhema taan liya
apni ana ka baghi dariya vasl se kya sarshar hua
us ka nishan bhi haath na aaya saara samundar chhan liya
qismat ke bazar se bas ik chiiz hi to le sakte the
tum ne taaj uThaya main ne ‘ghalib’ ka divan liya
zaat sifat se aari ho to kaisa ta.avun ḳharij ka
aankh to thi na-bina nahaq suraj ka ehsan liya
Leave a Reply