• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hain Jalwa-E-Tan Se dar-O-diwar Basanti

Hain Jalwa-E-Tan Se dar-O-diwar Basanti

poet

hain jalva-e-tan se dar-o-divar basanti

poshak jo pahne hai mira yaar basanti

kya fasl-e-bahari ne shagufe hain khilae

maashuq hain phirte sar-e-bazar basanti

genda hai khila baagh men maidan men sarson

sahra vo basanti hai ye gulzar basanti

us rashk-e-masiha ka jo ho jaae ishara

ankhon se bane nargis-e-bimar basanti

gendon ke darakhton men numayan nahin gende

har shakh ke sar par hai ye dastar basanti

munh zard dupatte ke na anchal se chhupao

ho jaae na rang-e-gul-e-rukhsar basanti

khilti hai mire shokh pe har rang ki poshak

udi, agari, champai, gulnar, basanti

hai lutf hasinon ki do-rangi ka ‘amanat’

do chaar gulabi hon to do chaar basanti

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zindagi chhoD Gai Be-Sar-O-Saman Mujhe

gulzar

Tujhko dekha Hai Jo dariya Ne Idhar Aate Hue

poet

Jo Ku-E-dost Ko Jaun To Pasban Ke Liye

poet

Aks-E-Raushan Tera Aaina-E-Jaan Mein Rakkha

KHWAJA GHULAM FARID

Yar Sapahida Aa Was Madro Kol

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet