hai ye gul ki aur us ki aab men farq
jaise paani men aur gulab men farq
lab-e-khuban kahan vo laal kahan
hai bahut sharbat aur sharab men farq
laakh gaali kahi hai kam mat de
main ginunga na ho hisab men farq
zahida zohd tu padha, main ishq
hai miri aur tiri kitab men farq
ai sharabi gazak to karta hai
kuchh to kar dil men aur kabab men farq
aankh jab se khuli na dekha kuchh
zindagani men aur hubab men farq
kuchh nahin karte tum jo shoale men
aur is ru-e-pur-itab men farq
hai zamin asman ka yaaro
zarre men aur aftab men farq
kyunki ‘jurat’ ho shaikh tujh sa ki hai
piiri aur alam-e-shabab men farq
Leave a Reply