lahu men Duub ke nikli hikayaten chup hain
mo.amla hai hamara adalaten chup hain
yahi hai vaqt ka dastur aj-kal shayad
tamam shahr jala aur shahadaten chup hain
ye kis ka ghamza-e-ḳhun-rez hai ki mahfil men
kisi men dam nahin sab ki jasaraten chup hain
na hoga kuchh bhi to hasil siva shamatat ke
ye soch soch ke apni jarahaten chup hain
na charagar hai koi ab na gham-gusar koi
tamam sidq-o-safa ki rivayaten chup hain
ye bastiyan nahin ab muḳhbiron ke markaz hain
to kya ajab hai azizo rifaqaten chup hain
kala.iyon ko maroḌega kaun zalim ki
ki inqalab hai ḳhufta baghavaten chup hain
hua ye kya mire yaran-e-tez-gam ke saath
itaab mohr-ba-lab hai shararten chup hain
mire siva nahin mauzu-e-guftugu ab bhi
ye aur baat ki ab vo inayaten chup hain
ye kis guman men baiThe ho tum miyan ‘az.har’
ye daur vo hai ki jis men karamaten chup hain
Leave a Reply