mohabbat chahti hai jis ko afsana bana dena
use kaafi nahin hota hai divana bana dena
par-e-gul se juda ham ne na dekha barg-e-bulbul ko
nazar men aa gaya surat ko be-ma.ana bana dena
hua tha dil jo ḳhali do ghaḌi ko ham na samjhe the
ki ho ja.ega ye ka.abe ko but-ḳhana bana dena
kisi ne bhi na dekha iztirab-e-tishnagi mera
agar dekha to bas shishe ko paimana bana dena
nahin ab chahta ye vahshi-e-be-ḳhanuman tera
ki aana aur ḳhak-e-pa se kashana bana dena
kisi ik tegh-e-jauhar-dar ko fazil jila de kar
use asan hai basti ko virana bana dena
ham apni jaan se dete tumhen sadqa mohabbat ka
magar tum ne to chaha is ko jurmana bana dena
Leave a Reply