hai ye duniya sharar ki manind
bhaag is se farar ki manind
sadaf-e-chashm men har ik qatra
hai dur-e-shahvar ki manind
na hua aur na hoga abr kabhi
dida-e-ashk-bar ki manind
ambar-o-mushk men kahan ḳhushbu
ai saba zulf-e-yar ki manind
hain ye simab-o-barq-o-sho.ala-o-sham.a
is dil-e-be-qarar ki manind
Leave a Reply