• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Wajh Koi KHas Meri Aankh Jo Nam Hai

Hai Wajh Koi KHas Meri Aankh Jo Nam Hai

poet

hai vaj.h koi ḳhaas miri aankh jo nam hai

bas itna samajhta huun ki ye un ka karam hai

ye ishq ki me.araj hai ya un ka karam hai

har vaqt mire samne tasvir-e-sanam hai

ka.abe se ta.alluq hai na but-ḳhane ka gham hai

hasil mire sajdon ka tira naqsh-e-qadam hai

divanon pe kis darja tira lutf-o-karam hai

baḳhsha hai jo gham tu ne vahi hasil-e-gham hai

sar jab se jhukaya hai dar-e-yar pe main ne

mehrab-e-ḳhudi jalva-gah-e-sham-e-haram hai

kya kaam zamane se use ai shah-e-ḳhuban

taqdir men jis ki tiri furqat ka alam hai

kaunain badal jaa.e magar tu na badalna

tere hi sabab ahl-e-mohabbat ka bharam hai

palkon pe bikharte hain tiri yaad ke moti

har ashk-e-nadamat tira andaz-e-karam hai

zahir men koi ka.aba koi dair-o-kalisa

batin men har ik chiiz tira naqsh-e-qadam hai

kar apni nazar se mire iman ka sauda

ai dost tujhe meri mohabbat ki qasam hai

ye umr guzar jaa.e magar hosh na aa.e

sar shauq-e-ibadat men dar-e-yar pe ḳham hai

ai dost tire ishq men pahuncha huun yahan tak

ankhon men sanam-ḳhana hai siine men haram hai

kis tarah ‘fana’ chhoḌun sanam-ḳhana-e-ulfat

hasil mire iman ka didar-e-sanam hai

duniya se nirali hai ‘fana’ maqtal-e-ulfat

is maqtal-e-ulfat men jo sar hai vo qalam hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ba-Zahir Rang KHushbu Raushni Yak-Jaan Hote Hain

poet

Wo sanglaKH Zaminon Mein Sher Kahta Tha

Sheikh Saadi

Man Badin Khubi-O-Zebai Na-didam Rue Ra

Kisi Bhi KHanaman-Barbaad Se Nahin Hoga

Kuchh Be-Tartib Sitaron Ko Palkon Ne Kiya tasKHir to Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet