hai ta.ajjub aaj tak bhi ishq kyon rusva nahin
dard be-avaz sa hai gham ka bhi saaya nahin
jo hua anjam divane ka vo hota nahin
vo samajh jaata magar kuchh ham ne samjhaya nahin
mere kamre ki bhi divaron se ye puchhe koi
koi kya jaane ki main kyon raat bhar soya nahin
main kahin ja.un mere ham-rah us ki yaad hai
tum mujhe tanha samajhte ho to main tanha nahin
ho sake to aap rakhiye apne aibon par nazar
dusron ki ḳhamiyon par tabsira achchha nahin
kis qadar badla hai mujh ko vaqt ne halat ne
aa.ina hai samne lekin mera chehra nahin
duur tak milta nahin hai us men ashiq ka vajud
ishq aisi dhuup hai jis men koi saaya nahin
sham-e-gham so ja.un tujh ko saath le kar sub.h tak
apne va.ade par use aana tha vo aaya nahin
be-ḳhabar be-samt hi apna raha hai ye safar
ja rahe hain ham kidhar ḳhud ko bhi batlaya nahin
is qadar beganagi ḳhud se rahi hai umr bhar
apne hal-e-zar par ‘arpit’ kabhi socha nahin
Leave a Reply