hai soz-e-gham ko garmi-e-bazar ki talash
is jins ko hai apne ḳharidar ki talash
kafir ki justuju hai na din-dar ki talash
hai ek jazb-e-gham ke parastar ki talash
avargi-e-chashm-e-tajassus abas nahin
karti hai apne markaz-e-didar ki talash
juuya gunahgar hai lutf-e-karim ka
lutf-e-karim ko hai gunahgar ki talash
kya jaane shaḳh shaḳh ne kya gul khila.e hain
hai ashiyan ko barq-e-sharar-bar ki talash
varafta-e-junun ka hai mudda.a kuchh aur
sahra ki justuju hai na gulzar ki talash
pursan koi bhi aaj ‘munavar’ mira nahin
mujh gham-zada ko hai kisi gham-ḳhvar ki talash
Leave a Reply