hai muamma mirī mohabbat bhī
shukr ke saath hai shikāyat bhī
dil ko pyārī hai jis kī nafrat bhī
kyā ho gar vo kare mohabbat bhī
dushman-e-e’tibār hotī hai
ba.az hālāt meñ haqīqat bhī
isī māmūre meñ banā lī hai
sāda-lauhoñ ne apnī jannat bhī
is mohabbat pe naaz kyā kiije
ho milī jis meñ kuchh muravvat bhī
aag dil kī kisī tarah na bujhī
pī ke dekhī mai-e-mohabbat bhī
tere kūche meñ jaa.eñ kis muñh se
kho chuke ham tirī amānat bhī
ho basārat se kyā umiid ‘razā’
dhoke detī hai jab basīrat bhī