• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Khamoshi Zulm-Charkh-E-dew-Paikar Ka Jawab

Hai Khamoshi Zulm-Charkh-E-dew-Paikar Ka Jawab

ameer-minai

hai khamoshi zulm-charkh-e-dev-paikar ka javab

aadmi hota to ham dete barabar ka javab

jo bagula dasht-e-ghurbat men utha samjha ye main

karti hai taamir divani mire ghar ka javab

saath khanjar ke chalegi vaqt-e-zabh apni zaban

jaan dene vaale dete hain barabar ka javab

sajda karta huun jo main thokar lagata hai vo but

paanv us ka badh ke deta hai mire sar ka javab

abr ke tukde na uljhen meri mauj-e-ashk se

khushk maghzon se hai mushkil misra-e-tar ka javab

vo khincha tha main bhi khinch rahta to banti kis tarah

sar jhuka deta tha qatil tere khanjar ka javab

jite-ji mumkin nahin us shokh ka khat dekhna

baad mere aaega mere muqaddar ka javab

shaikh kahta hai barhaman ko barhaman us ko sakht

kaaba o but-khana men patthar hai patthar ka javab

roz dikhlata hai gardun kaisi kaisi suraten

but-tarashi men hai ye kafir bhi aazar ka javab

har jagah qabr-e-gada takiye men har ja gor-e-shah

ek ghar is shahr men hai dusre ghar ka javab

jalva-gar hai nur-e-haq hone se yaktai ‘amir’

saaya bhi hota agar hota payambar ka javab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tumhaare KHwab Ki Tabir Ho Jaun Ijazat Hai

Lafz Chunte Hue Tartib Nai Lagti Hai

Ham-Safar Ban Ke Agar Sath Bhanwar Jaenge

Kis Munh Se Zindagi Ko Wo raKHshanda Kah Saken

poet

Asiran-e-Qafas Aisa To Ho Tarz-e-Fughan Apna

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet