Hai Intizar Muqaddar to Intizar Karo

hai intizār muqaddar to intizār karo

par apne dil kī fazā ko bhī ḳhush-gavār karo

tumhāre pīchhe lagī haiñ udāsiyāñ kab se

kisī paḌāv par ruk kar inheñ shikār karo

hamāre ḳhvāboñ kā dar khaTkhaTātī rahtī haiñ

tum apnī yādoñ ko samjhāo hoshiyār karo

bhalī lagegī yahī zindagī agar us meñ

ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā ko bhī shumār karo

bharosa ba.ad meñ kar lenā saarī duniyā par

tum apne aap par to pahle e.atibār karo

Leave a Comment