
Raza Hamdani
hai ghanimat ye fareb-e-shab-e-va.ada ai dil
kya koi dega tujhe is se ziyada ai dil
muddaton jaan chhiḌakte rahe jis lams pe vo
oḌh kar aa gaya ḳhushbu ka labada ai dil
soch zanjir-ba-pa fikr hai paband-e-rasan
kya yahi sub.h-e-tamanna ka hai jaada ai dil
ab bhi raushan kiye baiTha hai ummidon ke charagh
kitna ma.asum hai tu kitna hai saada ai dil
ḳhuun men luThḌe hue lashe hain nuqush-e-kaf-e-pa
aur kar manzil-e-janan ka irada ai dil
ḳhud-farebi ka fusun tujh pe hai kaari varna
kam nahin hai shab-e-gham se shab-e-va.ada ai dil

Leave a Reply