hai fana bismillah-e-divan-e-ishq
afrinha bar-sabaq khvanan-e-ishq
zohra-e-dozakh hai aage us ke aab
al-aman az atish-e-sozan-e-ishq
hai riha qaid-e-gham-e-kaunain se
pa-e-ta-sar qaidi-e-zindan-e-ishq
tang rakhta hai dava ke naam se
mubtala-e-dard be-darman-e-ishq
khun-e-dil piita hai aur hai janta
nemat-e-uzma use mehman-e-ishq
ghaur kar dekha to haft aqlim men
hukmaran hai be-guman sultan-e-ishq
kashti-e-gardun sarapa duub jaae
josh men aave agar tufan-e-ishq
bande ko maula banata hai mudam
kis qadar hai ye ayaan ehsan-e-ishq
bhuul jaave zohd-o-taqva zahida
gar kare tu sair-e-kufristan-e-ishq
faiz se ‘asim’ shah-e-khadim ke hai
sair men apni baharistan-e-ishq
Leave a Reply