hai bhi aur phir nazar nahin aati
dhyan men vo kamar nahin aati
mangta huun magar nahin aati
ye ajal vaqt par nahin aati
tere kushton ka roz-e-hashr hisab
ghairat o fitna-gar nahin aati
taba apni bhi ek andhi hai
khaak udani magar nahin aati
abr kis kis tarah barasta hai
sharm ai chashm-e-tar nahin aati
tum to yuun mahv-e-zulm ho ki hamin
aah karni magar nahin aati
nazr kuchh kar ke dil ko le ki ye jins
muft ai muft-bar nahin aati
mukhtasar hal-e-dard-e-dil ye hai
maut ai charagar nahin aati
yarab abad ku-e-yar rahe
ki qayamat idhar nahin aati
niind ka kaam garche aana hai
meri ankhon men par nahin aati
be-tarah padti hai nazar un ki
khair dil ki nazar nahin aati
be-pari ne uda rakha hai mujhe
hasrat-e-bal-o-par nahin aati
sab kuchh aata hai tu nahin aata
gar vafa sim-bar nahin aati
apni is aarzu ko kya kosun
aab vahan tegh par nahin aati
jaan deni to ham ko aati hai
dil ko taskin agar nahin aati
ghair kuchh mangta hai dekhen to
hai tumhen kis qadar nahin aati
dil ki apne jigar pe luun lekin
ek ki ek par nahin aati
dushman aur ik nigah men laut na jaae
chot puuri magar nahin aati
tera kucha hai misr-e-nazara
ki palat kar nazar nahin aati
un ka aana to ek aana hai
maut bhi vaqt par nahin aati
‘anvar’ is shab ki dekh lo takhir
subh hoti nazar nahin aati
Leave a Reply