hai bhi aur phir nazar nahin aati
dhyan men vo kamar nahin aati
muḳhtasar hal-e-dard-e-dil ye hai
maut ai chara-gar nahin aati
niind ka kaam garche aana hai
meri ankhon men par nahin aati
be-tarah paḌti hai nazar un ki
ḳhair dil ki nazar nahin aati
jaan deni to ham ko aati hai
dil ko taskin agar nahin aati
un ka aana to ek aana hai
maut bhi vaqt par nahin aati
‘anvar’ is shab ki dekh lo taḳhir
sub.h hoti nazar nahin aati
Leave a Reply