na ho gar dhyan men chehra kisi ka
bahut mushkil safar hai zindagi ka
gali-kuche bahut raushan hain lekin
gharon men mas.ala hai raushni ka
chunun palkon se kab tak sang-reze
ḳhudavanda koi aansu ḳhushi ka
zamin sadiyon purani ho chuki hai
sahegi bojh kab tak aadmi ka
na-jane aur kitna fasla hai
hamari zindagi se zindagi ka
koi ḳhud se mujhe kamtar samajh le
ye matlab bhi nahin hai ajizi ka
talab ne chhin li bina.i ḳhavar
karun kya raah ki main raushni ka
Leave a Reply