hai aks-e-a.ina dil men kisi bilqis-e-sani ka
tasavvur hai mira ustad bahzad aur maani ka
ghanimat samjho ye mil baiThna yaran-e-jani ka
bharosa kya hai duniya men do-roza zindagani ka
nazakat ho ga.i zarbul-masal un ki zamane men
bhala ho ya uluhi is hamari saḳht-jani ka
hai aks is chashm-e-pur-nam men kisi aabi dupaTTe ka
banaya hai makan ham ne ajab paani men paani ka
ghazab ka kaaT kar karti hain ada.en us pari-vash ki
ubharon par hai joban aur aalam hai javani ka
umangon ki kasak bechain karti hai unhen lekin
nazakat rok deti hai irada naujavani ka
shab-e-furqat jo ThanDe ThanDe ho jaa.e visal apna
guman ho maut par apni hayat-e-javedani ka
ye dil kyuun bujh gaya soz-e-firaq-e-sho.ala-ruyan men
tamasha hai kiya hai aag ne yaan kaam paani ka
ḳhayal ik chashm-e-maigun ka sada masrur rakhta hai
yahan kya kaam hai saaqi sharab-e-arghavani ka
yahi hain dekh lo vo sha.ir-e-mo.ajiz-bayan ‘kaifi’
zamane men hai charcha aaj jin ki ḳhush-bayani ka
Leave a Reply