• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka

Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka

poet

hai aam azal hi se faizan mohabbat ka

imkan musallam hai imkan mohabbat ka

toda nahin ja sakta paiman mohabbat ka

nuqsan khud apna hai nuqsan mohabbat ka

phir un ki nigahon se takrai miri nazren

phir badhne laga dil men tufan mohabbat ka

ek ek tamanna men lakhon hain tamannaen

armanon ki duniya hai arman mohabbat ka

is vaste muslim ki fitrat men mohabbat hai

deta hai sabaq us ko quran mohabbat ka

barbad-e-mohabbat ki halat hai ajab halat

hai be-sar-o-samani saman mohabbat ka

jazbat mohabbat ke main laakh chhupata huun

karti hain miri nazren elaan mohabbat ka

goya mire siine men mizan-e-mohabbat hai

yuun dil men jigar men hai paikan mohabbat ka

vo nuur ka partav hai ya husn ka partav hai

hai diin mohabbat ka iman mohabbat ka

jo dard ka hamil hai vo zauq men kamil hai

behis ko nahin hota iqan mohabbat ka

ijmal ye be-shak hai tafsil ka aina

mazmun pe haavi hai unvan mohabbat ka

hain us ke tasavvur ko ghere hue arman sab

rahta hai faqiron men sultan mohabbat ka

aati hai nazar us men ikhlas ki har surat

aina hai aina insan mohabbat ka

nairang mohabbat ka har sher se zahir hai

hai ‘qadr’ ka divan bhi divan mohabbat ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sarsabz Ye Jangal Chahat Ka Wo Dasht-E-Wafa Hai Viran Bhi

Kabhi Khole to Kabhi Zulf Ko Bikhrae Hai

poet

Kitna Roka Magar Ruka Hi Nahin

Sahra Se Chale Hain Su-E-Gulshan

poet

Hadd-E-Nigah Sham Ka Manzar Dhuan Dhuan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet