ai dost ik nigah tiri kya badal ga.i
hasrat-kashan-e-shauq ki duniya badal ga.i
saaqi ki ik nigah-e-karam kya badal ga.i
goya sarisht-e-saghar-o-mina badal ga.i
jo saans hai payam-bar-e-soz-e-ishq hai
ab tarz-e-iltimas-e-tamanna badal ga.i
dil tha bujha bujha magar ik haal par to tha
zalim nigah-e-lutf to duniya badal ga.i
Leave a Reply