hai aina-khane men tira zauq-faza raqs
karte hain bahut se tire ham-shakl juda raqs
be-zakhm sada dene lage saaz ajab kya
gar karne lagen khud-bakhud alat-e-ghina raqs
ho gar na tiri baagh men aane ki tavaqqo
kyuun sarv ko taalim kare bad-e-saba raqs
vaan qafila manzil pe bhi pahuncha magar ab tak
ham karte hain sahra men ba-avaz-e-dara raqs
hai vadi-e-gham vo ki gar aa jaaen idhar khizr
rashe se kare haath men hazrat ke asa raqs
maaqul sahi vajd ka hiila magar ai shaikh
achchha nahin ba-in-hama-tamkin-o-haya raqs
yuun hi to kharabat men aao ki sarasar
ya baada hai ya bang hai ya naghma hai ya raqs
yaan tum ko ye avaz-e-daf-o-chang mubarak
be-kashmakash-e-khirqa-o-tasbih-o-rida raqs
‘nazim’ tire ashar men hain maani-e-tauhid
is zamzame par karte hain mardan-e-khuda raqs
Leave a Reply