haa.e ab kaun lagi dil ki bujhane aa.e
jin se ummid thi aur aag lagane aa.e
dard-mandon ki yuun hi karte hain hamdardi log
ḳhuub hans hans ke hamen aap rulane aa.e
ḳhat men likhte hain ki fursat nahin aane ki hamen
is ka matlab to ye hai koi manane aa.e
aankh nichi na hui bazm-e-adu men ja kar
ye DhiTa.i ki nazar ham se milane aa.e
ta.ane be-sabr yuun ke haa.e tashaffi ke evaz
aur dikhte hue dil ko vo dukhane aa.e
aur to sab ke liye hai teri mahfil men jagah
ham jo baiThen abhi darban uThane aa.e
chuTkiyan lene ko pahlu men raha ek na ek
tu nahin to tere arman satane aa.e
bekasi ka to jala dil miri turbat pe ‘hafiz’
kya hua vo na agar sham.a jalane aa.e
Leave a Reply