hadse phail gae saya-e-mizhgan ki tarah
gham-e-dauran bhi mila hai gham-e-janan ki tarah
laakh paivand umidon ne laga rakkhe hain
dil ki surat nazar aati hai gareban ki tarah
koi aflak-nashin hai to pukare mujh ko
hasraten khak-basar hain miri tufan ki tarah
aur honge vo mayassar hai jinhen lutf-e-bahar
ham to gulshan men bhi rahte hain bayaban ki tarah
jo bhi gul hai yahan firdaus bana baitha hai
kaun khilta hai yahan ghuncha-e-isyan ki tarah
ye bhi eajaz kahin bad-e-mukhalif ka na ho
dil uda jaata hai aurang-e-sulaiman ki tarah
khauf-e-mahshar se na ghabrao tum ai bada-kasho
dar-e-tauba bhi khula hai dar-e-zindan ki tarah
ham kiya karte hain ashkon se tavazoa kya kya
jab khayalon men vo aa jaate hain mehman ki tarah
na koi saaz na sangit na pazeb na giit
uf ye mahaul ki hai shahr-e-khamoshan ki tarah
ham tire misr men aae hain zulekha-e-shikam
bik na jaaen kahin ham yusuf-e-kanan ki tarah
Leave a Reply