ye ḳhayal ab to dil-azar hamare liye hai
aḳhir-e-shab koi be-dar hamare liye hai
ham ajab dekh ke sarshar hue jaate hain
jaise ye garmi-e-bazar hamare liye hai
ḳhana-e-zist men rahta hai ujala shab bhar
koi raushan sar-e-divar hamare liye hai
ḳhatm hone ko nahin saḳhti-e-alam-e-safar
raah men phir koi kohsar hamare liye hai
DhunDte rahte hain ashjar mah-o-sal men ham
kya koi shaḳh-e-samar-dar hamare liye hai
ab khula us badan-e-gul pe hai mausam ka asar
ham samajhte the vo bimar hamare liye hai
koi to abr ki manind masafat men ‘salim’
dhuup se bar-sar-e-paikar hamare liye hai
Leave a Reply