haal puchha na kare haath milaya na kare
main isi dhuup men ḳhush huun koi saaya na kare
main bhi aḳhir huun isi dasht ka rahne vaala
kaise majnun se kahun ḳhaak uḌaya na kare
aa.ina mere shab o roz se vaqif hi nahin
kaun huun kya huun mujhe yaad dilaya na kare
ain-mumkin hai chali jaa.e sama.at meri
dil se kahiye ki bahut shor machaya na kare
mujh se raston ka bichhaḌna nahin dekha jaata
mujh se milne vo kisi moḌ pe aaya na kare
Leave a Reply