haal men jiine ki tadbir bhi ho sakti hai
zindagi maazi ki tasvir bhi ho sakti hai
aas men us ki na har kaam adhura chhoḌo
us ke aane men to taḳhir bhi ho sakti hai
mera har ḳhvab to bas ḳhvab hi jaisa nikla
kya kisi ḳhvab ki ta.abir bhi ho sakti hai
dil to mera tha magar ye mujhe ma.alum na tha
ye kisi aur ki jagir bhi ho sakti hai
zindagi jalne lagi atish-e-tanha.i men
jurm-e-ulfat ki ye ta.azir bhi ho sakti hai
dil ko barbad nahin karna ki is men phir se
ḳhvahishon ki na.i ta.amir bhi ho sakti hai
thak gaya huun main hikayat-e-junun likh likh kar
ye miri aḳhiri tahrir bhi ho sakti hai
Leave a Reply