hal-e-dil main suna nahin sakta
lafz maana ko pa nahin sakta
ishq nazuk-mizaj hai behad
aql ka bojh utha nahin sakta
hosh aarif ki hai yahi pahchan
ki khudi men sama nahin sakta
ponchh sakta hai ham-nashin aansu
dagh-e-dil ko mita nahin sakta
mujh ko hairat hai us ki qudrat par
alam us ko ghata nahin sakta
Leave a Reply