bichhaḌ ke us se abhi huun zinda magar bahut pur-malal ab tak
ḳhabar nahin vo sanbhal chuka hai ya vo bhi hai ḳhasta-hal ab tak
mujhe tira intizar kyon hai ye dil mira be-qarar kyon hai
mire ḳhayal-o-nazar men dekho yahi hai bas ik saval ab tak
kaha gaya vaqt saare zaḳhmon ka aap marham banega ik din
kaho ki zaḳhmon ka kyon nahin ho saka bhala indimal ab tak
kahan ye mumkin ki bhuul ja.un main zindagi ki hasin yaden
bata.un kaise ki hijr men huun main ranj-o-gham se niDhal ab tak
main ek mash.al main ek jugnu main ek sham-e-vafa huun ‘shahin’
mire ḳhuda ne rakha hua hai mujhe to yuun ḳhush-ḳhayal ab tak
Leave a Reply