gumrah ho gaya rah-e-hamvar dekh kar
chalna tha dil ko jada-e-dushvar dekh kar
jo sar jhuka tha sang-e-dar-e-yar dekh kar
uncha hua hai phir rasan-o-dar dekh kar
shoridgi-e-sar ko na tha koi mashghala
dil ḳhush hua hai raah men divar dekh kar
kya main kahun ki haath se kyuun jaam gir paḌa
sarshar ho gaya tujhe sarshar dekh kar
garche ye daur lafzon ki bazigari ka hai
karta hai vaqt faisla kirdar dekh kar
tufan-e-tirgi tha bahut dahshat-afrin
himmat baḌhi hai sham-e-ruḳh-e-yar dekh kar
dil aur dimagh donon mere ham-safar hain aaj
hairat na kijiye meri raftar dekh kar
‘shibli’ samand-e-shauq ko mahmez ik lagi
‘ghalib’ ki is zamin ko gul-kar dekh kar
Leave a Reply