gulshan men junun ka mujhe saman nazar aaya
jo phuul khila chak-gareban nazar aaya
har shai men tira husn-e-daraḳhshan nazar aaya
jis chiiz ko dekha mah-e-taban nazar aaya
jis ne use dekha vo giraftar-e-bala tha
tasvir ka a.ina bhi hairan nazar aaya
yarab koi had bhi hai pareshan-nazar ki
furqat men chaman mujh ko bayaban nazar aaya
gulshan men khile gul to hava chal ga.i aisi
sabit na kisi ka bhi gareban nazar aaya
a.ine men kya dekh liya kaun bata.e
zulfon ki tarah ḳhud vo pareshan nazar aaya
phir tuur pe jaane ki zarurat hamen kya thi
jab aankh uThi jalva-e-janan nazar aaya
tasir na.i fasl-e-baharan men ye dekhi
daman ki jagah ham ko gareban nazar aaya
ai ishq bahut tu ne to dekha hai zamana
mujh sa bhi koi be-sar-o-saman nazar aaya
hai husn ki sarkar men tausif vafa ki
vo kahte hain ‘shankar’ hamen insan nazar aaya
Leave a Reply