• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gul Muraqqa Hain Tere Chaak Garebanon Ke

Gul Muraqqa Hain Tere Chaak Garebanon Ke

riyaz-khairabadi

gul muraqqaa hain tire chaak garebanon ke

shakl maashuq ki andaz hain divanon ke

na rukenge dar-o-divar se zindanon ke

khud-bakhud paanv uthe jaate hain divanon ke

peng vahshat men badhe hain tire divanon ke

ab bayaban bhi unhen sahn hain zindanon ke

ek kya jin ke har ik zarre men gum hon sau hashr

ham bagule bane aise kai maidanon ke

kaaba-o-dair men hoti hai parastish kis ki

mai-parasto ye koi naam hain mai-khanon ke

kuchh is andaz se aa baithe hain vo shama ke paas

dekh kar duur se par jalte hain parvanon ke

le gaya aap ke divanon ko sauda-e-bahar

dar-o-divar hain tuute hue zindanon ke

jaam hai tauba-shikan tauba miri jam-shikan

samne dher hain tuute hue paimanon ke

haath kyuun khinch liya pher ke khanjar tu ne

sar jagah se nahin uthte hain giran-janon ke

dar se badhne nahin deta hai mujhe zauq-e-sujud

main huun naqsh-e-kaf-e-pa hain tiri darbanon ke

nahin ginti main magar bazm-e-sukhan hai raushan

aaj main shama huun majmea men sukhan-danon ke

qatre hain kausar-o-tasnim kaf-e-saqi men

khum-e-aflak to paimane hain mai-khanon ke

vusat-o-zat men gum vahdat-o-kasrat hai ‘riyaz’

jo bayaban hain vo zarre hain bayabanon ke

vaah kya nama-e-aamal hain divanon ke

ki farishte liye tukde hain garebanon ke

hosh udte hue dekhe nahin insanon ke

lutf mai-khanon men aate hain pari-khanon ke

naqsh-e-pa rah nahin sakte tire divanon ke

ai junun sahn bahut tang hai zindanon ke

par-e-parvaz bane khud sharar-e-shama kabhi

sharar-e-shama bane par kabhi parvanon ke

apne kuche men jo dekha to vo hans kar bole

chhanne vaale kahan aae bayabanon ke

zikr kya ahl-e-junun ka ki jab aati hai bahar

vo to vo rang badal jaate hain zindanon ke

aaj but baithe hain taqdir ke malik ban kar

ab jo likkha ho muqaddar men musalmanon ke

baam tak tere zariya hai rasai ki yahi

duur se jhuk ke qadam luun tire darbanon ke

un ke bikhre hue gesu nahin hatte rukh se

aaj nikle hain vo jhurmut men nigahbanon ke

saath valon men mire kohkan-o-qais bhi hain

mere qisse nahin tukde koi afsanon ke

chashm-e-yaqub bane halqa-e-zanjir ki aankh

kabhi taqdir se din phirte hain zindanon ke

ghairat-e-haq ko ho kya josh jab aamal ye hain

kam hai jo kuchh ho muqaddar men musalmanon ke

duur se dekh ke phirna vo mira ulte paanv

uf vo badle hue tevar tire darbanon ke

mah-o-anjum se tapakta hai yahi raton ko

un men tuute hue saghar bhi hain mai-khanon ke

inhen thukrate chalo hashr men lutf aaega

inhin qabron men hain maare hue armanon ke

nikli jaati hai zamin paanv ke niche se ‘riyaz’

kyuun dua ko na uthen haath musalmanon ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Baada-E-Wahshat-Asar Se Mast Virane Mein Tha

poet

Pahle to Shahar Bhar Mein Andhera Kiya Gaya

kishwar-naheed

Umr Mein Us Se Badi Thi Lekin Pahle Tut Ke Bikhri Main

Na Jaane Kaun Si Ghaflat Mein Hun Main

poet

Yun to Wo Mujhse Siwa Mera Bhala Chahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet