
Prem Warbartani
guftugu kyuun na karen dida-e-tar se badal
lauT aa.e hain sitaron ke safar se badal
kya ghazabnak thi suraj ki barahna shamshir
kaale mujrim ki tarah nikle na ghar se badal
raat ki kokh koi chand kahan se laa.e
ye zamin banjh hai barse ki na barse badal
barf se kahiye ki saughat kare un ki qubul
laa.e hain aag ke dastane safar se badal
main ki huun dhuup ka azad parinda lekin
baal kyuun noch rahe hain mire par se badal
aḳhiri ḳhat to likhunga main lahu se ḳhud ko
ab bhi mayus jo lauTe tire dar se badal
na kisi jism ka jaadu na ghaTa gesu ki
‘prem’ kyuun ruuTh ga.e prem-nagar se badal

Leave a Reply