is darja bad-guman hain khulus-e-bashar se ham
apnon ko dekhte hain parai nazar se ham
ghunchon se pyaar kar ke ye izzat hamen mili
chume qadam bahar ne guzre jidhar se ham
vallah tujh se tark-e-taalluq ke baad bhi
aksar guzar gae hain tiri rah-guzar se ham
sidq-o-safa-e-qalb se mahrum hai hayat
karte hain bandagi bhi jahannam ke dar se ham
uqba men bhi milegi yahi zindagi ‘shakil’
mar kar na chhut paenge is dard-e-sar se ham
Leave a Reply