sadiyon ka dard mere kaleje men paal kar
lamha guzar gaya mujhe hairat men Daal kar
sahil pe motiyon ka ḳhazana ajab mila
paani utar gaya ka.i lashen uchhal kar
ankhon se bol bol ke ab thak chuka huun main
zalim miri zaban ka takallum bahal kar
aisa na ho ki chaaT le sahil ko tishnagi
ai mauj ab to aa koi rasta nikal kar
tu ne to noch li mire taron ki raushni
pachhta raha huun ab tujhe uncha uchhal kar
marne ke ba.ad bhi rahun zinda hazar saal
yarab mire hunar ko ata vo kamal kar
Leave a Reply