niim pagal to main huun tum mujhe saara kar do
aankh biphra hua dariya hai kinara kar do
ik za.ifa hai ghana dasht hai ik jhonpaḌi hai
ek beTe hi ko buḌhiya ka sahara kar do
koi tabdili na aa.e agar atvar men to
saare bachchon ko nasihat hi dobara kar do
chand har haal men sargoshi karega tujh se
chhat se tum us ko agar ek ishara kar do
main ne taviz-e-mohabbat bhi liye dam bhi kiya
kaash koi to miri aankh ka taara kar do
main ne bhi taj-mahal ek bana rakkha hai
aa ke ik baar ‘sahar’ aap nazara kar do
Leave a Reply