dasht-dar-dasht aks-e-dar hai yahan
tum bhi aao ki mera ghar hai yahan
phailti ja rahi hai surḳh lakir
jaise koi lahu men tar hai yahan
dhuup se bach ke jaaen aur kahan
apni zaat ik ghana shajar hai yahan
vahi miTTi hai sab ke chehron par
aaina sab se ba-ḳhabar hai yahan
shaḳh-dar-shaḳh ek saaya hai
chand jo hai pas-e-shajar hai yahan
duub kar jis men apni thaah mili
lamha lamha vahi bhanvar hai yahan
pattharon men hazar chehre hain
haan magar koi tisha-gar hai yahan
kuchh mujhe bhi yahan qarar nahin
kuchh tira gham bhi dar-ba-dar hai yahan
zahr ki kaaT kis se ho ‘aḳhtar’
vaqt ka marg-e-neshtar hai yahan
Leave a Reply