dil ka ye dasht arsa-e-mahshar laga mujhe
main kya bala huun raat bada dar laga mujhe
aage bhi ishq men huiin rusvaiyan magar
ab ke vafa ka zakhm jabin par laga mujhe
ai dil vo mehrban hai yunhi bad-guman na ho
maara tha us ne ghair ko patthar laga mujhe
har su tire vajud ki khushbu thi khema-zan
vo din ki apna ghar bhi tira ghar laga mujhe
hans kar na taal ja ki ye ummid ki kiran
vo tiir hai ki siine ke andar laga mujhe
tariki-e-hayat ka andaza kar ki aaj
dagh-e-shikast mahr-e-munavvar laga mujhe
sanche to the ghazal ke siva bhi magar ‘zafar’
kya jaane kyuun ye zarf hasin-tar laga mujhe
Leave a Reply