go tar-e-ankabut aaya nahin ab tak gumanon men
magar kuchh makḌiyon ki sarsarahaT si hai kanon men
zamin-zadon ko ab miTTi se to vabasta rahne do
ḳhudara fasl-e-nau ka zauq rahne do kisanon men
saron se asman bhi kya haTaya jaane vaala hai
shabihen mehr-o-mah ki Tankte ho kyon makanon men
zara Thahro ugegi bhuuk bhi kaghaz ke peḌon par
abhi to haath banTe ja rahe hain baghbanon men
bahut mumkin hai patthar ke zamane ke nazar aao
agar paida kiya jaa.e tumhen pichhle zamanon men
na panje hain na par hain aur na hai parvaz ki taqat
jo naghma-sanj hona ho to luknat hai zabanon men
chala aata hai basti men liye zambil fatvon ki
tu aisa kar basera kar pahaḌon ki chaTanon men
Leave a Reply