girna nahin hai aur sambhalna nahin hai ab
baiThe hain rahguzar pe chalna nahin hai ab
pichhla pahar hai shab ka savere ki ḳhair ho
bujhte hue charagh hain jalna nahin hai ab
hai astin se kaam na daman se kuchh gharaz
patthar bane hue hain pighalna nahin hai ab
manzar Thahar gaya hai koi dil men aan kar
duniya ke saath us ko badalna nahin hai ab
lab-ashna-e-harf-e-tabassum nahin rahe
dil ke lahu ko ashk men Dhalna nahin hai ab
Leave a Reply