girah lab pe jo muddaa ho gaya
vo dil men mire aabla ho gaya
samajhte hain vo farz is ki shikast
mira dil bhi ahd-e-vafa ho gaya
kahun kya na dekhen jo meri taraf
taghaful sharik-e-haya ho gaya
vo karte hain sun kar sitam aur bhi
mira naala shukr-e-jafa ho gaya
qayamat hui us ki raftar se
ye hangama hangama-za ho gaya
bad-o-nek ka un pe kya e’tiraz
jo chaha kiya jo kiya ho gaya
shab-e-vasl hone ki hai ye dalil
shab-e-hijr se din siva ho gaya
asar sab khicha us ki guftar men
mira naala bhi na-rasa ho gaya
vo surat hai dilkash ki is zulm par
zamana tira mubtala ho gaya
mila de jigar ko bhi dil men khuda
ki ab shauq had se siva ho gaya
gham-o-ranj-o-hirman-o-andoh ko
mira siina mulk-e-baqa ho gaya
mohabbat men ilzam kya dil ko duun
ye gumrah tha mujh ko kya ho gaya
hujum-e-bala-ha-e-hijran na puchh
tujhe kya jo kuchh ho gaya ho gaya
anal-ishq kahna na aaya magar
ki mansur anal-haq-sara ho gaya
ye taqva javani men ‘salik’ magar
bure vaqt men parsa ho gaya
Leave a Reply